Latest aankhe Sms and aankhe Shayari
Urdu Aankhe Sms
This is the best collection Urdu Aankhe Poetry, Hindi Aankhe Shayari and latest Aankhe Sms in Urdu. We have selected all sms & shayari collection related to keyword "Aankhe" online here. You can read Aankhe hindi sms, Aankhe poetry online and best Aankhe poetry in urdu
(1) Agar Bhigne Ka Itna Hi Shoq Ha
Agar Bhigne Ka Itna Hi Shoq Hai Baarish Me,
To Dekho Na Meri Aankhon Me,
Baarish To Har Ek Ke Liye Hoti Hai,
Lekin Ye aankhein Sirf Tumhare Liye Barasti Hain.

(2)
Jb wo aankhe uthati ha naqa
Jb wo aankhe uthati ha naqab ma se to pathar bhi
pighal jate ha
(ghalib)
Kya halat hugi un aainoo ki jinhe wo roz be naqab dekhti hugi
?

(3)
Yaad Aaon To Bas Itni Si In
Yaad Aaon To Bas Itni Si Inayat KaRNa
Apne Badle Huwe Lehjay Ki Wazahat KaRNa
Tum To Chahat Ka Shahkaar Huwa Karte Thay
Kis Se Seekha Hai Ye Ulfat Mein Milawat KaRNa
Hum Sazaon Ke Haqdaar Bane Hain Kab Se
Tum Hi Keh Do Ke Jurm Hai Kia Mohabbat KaRNa
Teri Fursat Mein Ye aankhein Abhi Tak Mumm Hain
Kabhi Aana Mere Ashkon Ki Ziyarat KaRNa.
Dil Mein Ab Bhi Mohabbat Ke Diye Hain Roshan
Dekh, Bhoole Nahi Teri Hasti Ki Sajawat KaRNa
(4)
Main Hans K Jhel Leta Hoon
Main Hans K Jhel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uske Lagta Hoon To aankhen Bheeg Jaati
Hain..!!

(5) Aayi Thi Ek Sadaa Si, Magar Ya
Aayi Thi Ek Sadaa Si, Magar Yaad Ab Nahi.
Auron Se Thi Jooda
Si, Magar Yaad Ab Nahi.
.
Tahreer Uskey Chehre Pe Ek
Ajnabi Si Thi,
aankhe Thi Aashna Si, Magar Yaad Ab
Nahi.
.
Tark-e-Talluq Ka, Jo Ban Gayi Sabab,
Wo Baat
Thi Zaraa Si, Magar Yaad Ab Nhai.
.
Kuch Yaad Aa Raha Hai Ke Aagaz Hijr Mein,
Chhayi To Thi Udaasi Magar Yaad Ab Nahi.
.
Aankho Ki Khushk Jheel Mein Utre To Ye Khula
Thi Rooh
Kitni Pyaasi Magar Yaad Ab Nahi.
.
Kuch Usko Der Ho Gayi Aane Mein Aur Kuch,
Thi Umr Be Wafaa Si, Magar Yaad Ab Nahi.
(6) "Suno Logo"Meri Aankhain khree
"Suno Logo"
Meri Aankhain khreedo gay?
Bohat
majbur halat main Mujhe Nelaam KARNI hain
Koi Mujse Naqad lay lay
Main Thoray Daam lay loon ga
Jo day day pehli boli to
Ussi K Naam kar
doon ga
Mujhay Bazaar Walay keh rahay hain Kam_aqqal Tajir
Suno Logo!
Main Nahi hon Hirs ka Khwahaan,
Nafa Nuqsan ki
Shatranj Nahi main Khailnay aaya
Koi Mujh ko Kahay naa Manchala sa
be_Hunr Tajir,
Bata paoun Tumhain kaise K Kis Tashveesh main hon
main
Suno Logo
Barri Meh****** hain Mujh ko Ye Meri Neem Tar aankhen
Magr Ab Baich'ta hon k
"Mujhe Ik Khwab ka Tawaan BhaRNa hai"
INHEN NELAAM KRNA HAI.
(7) Us simt nazar ka koi mauqa b n
Us simt nazar ka koi mauqa b na rakha,
Dewaar to chun li daricha b na rakha,
Hm teri lagan mein they bari door nikal aye,
Aur lautny wala koi rasta b na
rakha,
Aaghaz-e-safar khauf tha pr ishq ne dil mein,
Is rah mein lut jany ka khadsha b na rakha,
Ab khushk hain sehra ki tarha jheel si aankhen,
Kya gham ne
tery, qabil-e-girya b na rakha,
Ik dard sa baqi tha mgr zabt ki had se,
Is dil ne wo mauhoom sa rishta b na
rakha,
Dil yad b krta to kahan dhoundhny jata,
Aankhon ne to mehfoz wo naqsha b na rakha,
Khud
bhoul gya de k hukam-e-musafat,
Aur rah mein dum leny ka mauqa b na rakha,
Souraj ke sitam sehty they jis perr ki khatir,
Us ne to hmary liye saya b na rakha,
Kuch dast-e-ata itna kushada b nhi tha,
Kuch
mangny walon ne saliqa b na rakha,
(8) Aai thi ik sadaa si magar yaad
Aai thi ik sadaa si magar yaad ab nahin
Auron sey thi juda si magar yaad ab nahin
Tehreer oske chehrey pe ik ajnabi si thi
aankhein thin aashna si magar yaad ab nahin
Tark-e-taluqat ka jo ban gai sabab
Woh baat thi zara si magar yaad ab nahin
Ankhon ki khushk jheel mein utrey tou ye
khula
Thi rouh kitni piyasi magar yaad ab nahin
Kuch yaad Aa raha hai ke Aaghaz-e-hijar mein
Chhai tou thi udasi magar yaad ab nahin
Kuch osko daiyr ho gai aanay mein aur kuch
Thi umer bewafa si magar yaad ab nahin...!!
(9)
Haqikat jaan lo juda hone s
Haqikat jaan lo juda hone se pahle,
Meri sun lo apni suna ne se pahle.
Ye soch lena bhulane se pahle,
Bahut royi hein ye aankhen muskurane se pahle

(10) Laakh chahein hum muqadar ko b
Laakh chahein hum muqadar ko badal sakty nahe
Iss mein
likhay faislay aisy hain
tal sakty nahe
Apni apni maslihat ke daaiyron sey baar'ha
Hum nikalna chahty tou hain nikal sakty nahe
Zindagi
bhar sath deny ka woh kar ke faisla
Aaj do ik gaam apne sath
chal sakhty nahe
Dil sey uthi tees unko baad mudat dekh kar
Kis kadar maan tha jazbon
par machal sakty nahe
Soch kar rakhna qadam, asaib koi
hai zaror
Iss dagar par jaan-o-dil aksar samhal sakty
nahe
Zindagi ke khuwab ko dekhay bina chaara
nahe
Khuwab andar khuwab mein aankhein tou mal
sakty nahe...
Go To Page >> [1] [2] [3] [4] [5] [6] [7] [8] [9] [10] [11] [12] [13] [14] [15] [16] [17] [18] [19] [20] [21] [22] [23] [24] [25] [26] [27] [28] [29] [30] [31] [32] [33] [34] [35] [36] [37] [38] [39] [40] [41] [42] [43] [44] [45] [46] [47] [48] [49] [50] [51] [52] [53] [54] [55] [56] [57] [58] [59] [60] [61] [62] [63] [64] [65] [66] [67] [68] [69] [70] [71] [72] [73] [74] [75] [76] [77] [78] [79] [80] [81] [82] [83] [84] [85] [86] [87] [88] [89] [90] [91]
Read new/updated aankhe sms. No doubt, its biggest collection of aankhe mobile messages on internet. You can subscribe aankhe sms and get newly added aankhe text messages to your email as well. Keep visiting this page as latest urdu aankhe sms will be coming soon. There are many Urdu aankhe SMS lovers who are eager to share Urdu aankhe SMS with you;)
Post to Forum :