Latest ankhen Sms and ankhen Shayari
Urdu Ankhen Sms
This is the best collection Urdu Ankhen Poetry, Hindi Ankhen Shayari and latest Ankhen Sms in Urdu. We have selected all sms & shayari collection related to keyword "Ankhen" online here. You can read Ankhen hindi sms, Ankhen poetry online and best Ankhen poetry in urdu
(1)
"G H A Z A L"
Ki
"G H A Z A L"
Kisi ki Rah Me ankhen Bicha kr kuch Nhi Milta.
Ye Dunya Bewafa Hai Dil Laga kr kuch Nhi Milta.
Koi Bhi Lot kr Ata Nhi Anso Bahany Sy.
Kisi ki Yad Me Dil ko Rula kr kuch Nhi Milta.
Kisi k Dil Pay kya Guzry kisi
ko kya khabr Is ki.
Kisi ko Apna Hal-E-Dil Suna k
kuch Nhi Milta.
Jo Dil Me Baat Hoti Hai Wohi ankhen Batati Hain.
koi Bhi Baat Ho Dil Me Chupa k kuch Nhi Milta..
(2)
Sham tk phirti rh
Sham tk phirti rhi hijar ki mari ankhen,
Dhal gai sham to phir rat sy hari ankhen.
Hm isi as py ankhon ko khula rkhty hain,
Laot aien na ksi roz tumhari ankhen.
Ashk
sagar bany tehreer bani hai znjeer,
Jb sy bichri hain teri pyar sy pyari ankhen.
Gaaty gaaty hamen ek shakhs ki yad ati hai,
Bheeg jati hain sr-e-bazm hmari ankhen.
Janey kya bat hai kyun dekhti rehti hain?
Meri ankhon ki taraf shehar ki sari ankhen.
(3)
[Noshi Gillani]
M
[Noshi Gillani]
Mit gaee hon main
bs mujh ko mita rehny do!
Mery jazbat k sholon ko bujha rehny do!
Dard sehny ki bachpan sy hy adat mujh ko,
Mery risty hoe zakhmon ko hra rehny do!
Ab to tabeer ki b koi hasrat nhi baqi,
Meri ankhon men mera khawb chupa rehny do!
Ye
tasali,
ye tashafi,
ye mohabt,
ye Pyar!
Rehny do!
aey jan-e-ada rehny do!
Dil jo toota hy to ankhen na chhalak jayen,
Bs en ankhon ko ashkoon sy bhara rehny do!!!.
(4)
hamare aangan mei
hamare aangan mein hamesha bahaar rehti thi,
aaj wahi aangan ek khilte phool ke liye
bekaraar hai
hamari aankhon ke saamne jiski surat har waqt
rehti thi,
aaj vahi aankhen unke ek
deedar ke liye
bekaraar hain
~~~
(5)
Bhar aayi meri aa
Bhar aayi meri aankhen jab uska naam aaya
ishq nakam sahi phir bhi bahut kaam aayaââ.šÂ¬Ã‚Â
hamne mohabbat me aisi bhi
guzaari raatein
jab tak aansu na bahe dil ko na aaraam aaya :'(

(6)
Ek jazba khak hua
Ek jazba khak hua dil ki gehrayion me kahin
taââ.šÂ¬Ã¢.žÂ¢ajjub hai maut par uski koi roya tak
nahin,
sahil se to chale the sath me hamsafar banker
sagar ne duboya?hum hi?ko unhe to bhigoya tak nahin,
ankhon me zinda khuwab thay ya khuwab me zinda ankhen,
tutne k bad hi jana ki unhone to
sanjoya tak nahin,
nadani me jinki khatir sab
lutane nikle the hum
dekho humare na rehne per bhi unka kuch khoya tak nahin.
(7)
Muhabbat soch k k
Muhabbat soch k KaRNaââ.šÂ¬Ã‚Â
Kabi kuch soch k likhna kabi kuch soch k parhna,,
Ye
naââ.šÂ¬Ã¢.žÂ¢mumkin si koshish hai muhabbat soch k KaRNaââ.šÂ¬Ã‚Â
..!!
Kisi ka dilââ.šÂ¬Ã¢.žÂ¢ruba chehra or us pe
dilââ.šÂ¬Ã¢.žÂ¢nsheen aankhen,,
K jisko
dekh k jeena usi k naam pe MaRNa..!
Ye naââ.šÂ¬Ã¢.žÂ¢mumkin si koshish hai muhabbat soch k KaRNaââ.šÂ¬Ã‚Â
ââ.šÂ¬Ã‚Â
!!
Khayalon me bna lena kisi ka aks dheerey sy,,
Chura k rung sapnoon k kisi ki aankh me bhaRNa..!
Ye
naââ.šÂ¬Ã¢.žÂ¢mumkin si koshish hai muhabbat soch k KaRNa..
(8)
Hum Hote Hi kyun
Hum Hote Hi kyun ?
Diye Jal Jate Hain..
Kyun Aankhen Num Hoti Hai ?
Kyun Ashk Dhal Jaate Hain.. ?
Taarikiyon ko Cheer Kar,
Ye Loo Jagmagati Hai..
Sehar Hote Hi kyun ?
Shama Dhal Jati Hai ?
Aksar Tanha Raton Main,
Kyun Bebasi Jhalakti Hai ?
Kyun Din Khushi Mnata Hai ?
Kyun Raat udaas Hoti Hai ?
Shaam hote Hi kyun ?
Dilye Jal Jate Hain..
Kyun Aankhen Num Hoti Hain?
Kyun Ashk Dhal Jate Hain.. ?
In Wadiyon main Khud Ko,
Main Kyun Udas Pati Hon ?
Ye Sureele Prinde b,
Kyun Udas Geet Gaate Hain ?
Sehra Main Hon Main
Tanha,
Is Neele Falak K Neeche,
Ye Aasman B Mujh par,
Kyun Bijliyan
Girate Hain.?
Shaam hote Hi kyuN ?
Diye Jal Jaate Hain..
Kyun Aankhen Num Hoti Hain?
Kyun Ashk Dhalte Hain.. ?
(9)
Har tarah k jazba
Har tarah k jazbat ka elan hen ankhen
Shabnam kabhi, shola kabhi, tufaan he ankhen
Ankhon se bari koi tarazu nhi hoti
Tulta he bashar jis me wo meezan he ankhen
ankhen hi milati he zamane me dilon ko
Anjan
hen ham tum agar anjan he ankhen
Lab kuch
bhi kahen is se haqiqat nhi khulti
Insaan k sach jhoot ki pehchan he ankhen
ankhen na jhuken teri kisi gair k age
Dunya me bari cheez meri jaan he ankhen
(10)
Ikraar mein shabd
Ikraar mein shabdon ki ehmiyat nahi hoti,
Dil ke jazbaat ki awaaz nahi hoti,
Aankhen bayaan kar deti
hain dil ki daastan,
Mohabbat lafzon ki mohtaaz nahi hoti!

Go To Page >> [1] [2] [3] [4] [5] [6] [7] [8] [9] [10] [11] [12] [13] [14] [15] [16] [17] [18] [19] [20] [21] [22] [23] [24] [25] [26] [27] [28] [29] [30] [31] [32] [33] [34] [35] [36] [37] [38] [39] [40] [41] [42] [43] [44] [45] [46] [47] [48] [49] [50] [51] [52] [53] [54] [55] [56] [57] [58] [59] [60] [61] [62] [63] [64] [65] [66] [67] [68] [69] [70] [71] [72] [73] [74] [75] [76]
Read new/updated ankhen sms. No doubt, its biggest collection of ankhen mobile messages on internet. You can subscribe ankhen sms and get newly added ankhen text messages to your email as well. Keep visiting this page as latest urdu ankhen sms will be coming soon. There are many Urdu ankhen SMS lovers who are eager to share Urdu ankhen SMS with you;)
Post to Forum :